be-kasi mein asar yagana hai
be-kasī meñ 'asar' yagāna hai
dil bhī us kā nahīñ begāna hai
ġharaz ā.īna-dārī-e-dil se
terā jalva tujhe dikhānā hai
misl-e-naqsh-e-qadam meñ jab ta.iiñ huuñ
āñkheñ haiñ aur ye āstāna hai
yahī tār-e-nafas kī āmad-o-shud
jāma-e-tan kā tānā-bānā hai
gale milnā na go ki haath lage
lek manzūr dil milānā hai
naam anqā nishān tere kā
juuñ nagīñ dil meñ āshiyāna hai
dost dushman sabhī hue haiñ tere
kyā burā.ī kā ab zamāna hai
dil-e-gum-gashta ko maiñ DhūñDūñ kahāñ
na kahīñ Thor ne Thikāna hai
hai dīvāna ba-kār-e-ḳhud hushyār
ye na samjho 'asar' dīvāna hai
be-kasi mein 'asar' yagana hai
dil bhi us ka nahin begana hai
gharaz aaina-dari-e-dil se
tera jalwa tujhe dikhana hai
misl-e-naqsh-e-qadam mein jab tain hun
aankhen hain aur ye aastana hai
yahī tar-e-nafas ki aamad-o-shud
jama-e-tan ka tana-bana hai
gale milna na go ki hath lage
lek manzur dil milana hai
nam anqa nishan tere ka
jun nagin dil mein aashiyana hai
dost dushman sabhi hue hain tere
kya burai ka ab zamana hai
dil-e-gum-gashta ko main DhunDun kahan
na kahin Thor ne Thikana hai
hai diwana ba-kar-e-KHud hushyar
ye na samjho 'asar' diwana hai
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 214)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.