aasudgi kahan jo dil-e-zar sath hai
āsūdgī kahāñ jo dil-e-zār saath hai
marne ke ba.ad bhī yahī āzār saath hai
anjām ho ba-ḳhair ilāhī bure haiñ Dhañg
har rozgār aise jafākār saath hai
gar sarf-e-dil meñ chashma-e-ḳhūñ ho to ḳhushk ho
tūfāñ ye hai ki dīda-e-ḳhūñ-bār saath hai
dekheñ bhalā Tuk ik to jafā kiije aur se
kyā sheḳhī saarī is hī gunahgār saath hai
ai shāna zulf-e-yār se pechish na kījiyo
vābasta merī jaan har ik taar saath hai
jannat hai us baġhair jahannam se bhī zubūñ
dozaḳh bahisht haigī agar yaar saath hai
mushkil hai tā ki hastī hai jāvai ḳhudī kā shirk
tār-e-nafas nahīñ hai ye zunnār saath hai
hotī hai baat baat meñ vo chashm ḳhashmagīñ
sohbat 'asar' hameñ sadā bīmār saath hai
aasudgi kahan jo dil-e-zar sath hai
marne ke baad bhi yahī aazar sath hai
anjam ho ba-KHair ilahi bure hain Dhang
har rozgar aise jafakar sath hai
gar sarf-e-dil mein chashma-e-KHun ho to KHushk ho
tufan ye hai ki dida-e-KHun-bar sath hai
dekhen bhala Tuk ek to jafa kije aur se
kya sheKHi sari is hi gunahgar sath hai
ai shana zulf-e-yar se pechish na kijiyo
wabasta meri jaan har ek tar sath hai
jannat hai us baghair jahannam se bhi zubun
dozaKH bahisht haigi agar yar sath hai
mushkil hai ta ki hasti hai jawai KHudi ka shirk
tar-e-nafas nahin hai ye zunnar sath hai
hoti hai baat baat mein wo chashm KHashmagin
sohbat 'asar' hamein sada bimar sath hai
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 277)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.