garche dil mein hi sada jaan-e-jahan rahte ho
garche dil meñ hī sadā jān-e-jahāñ rahte ho
par ba-zāhir nahīñ ma.alūm kahāñ rahte ho
shukr-lillāh ki abhī kaam tumheñ baaqī hai
le chuke dil to vale dar-pai-e-jāñ rahte ho
aa nikalte ho kidhar bhuul ke be-ḳhvāhish-e-dil
ab bhī jaao vahīñ har rose jahāñ rahte ho
ai ḳhush-abrū koī phir Dhab pe chaḌhā taaza shikār
yuuñ jo har vaqt liye tīr-o-kamāñ rahte ho
gar kabhī aa.e 'asar' paas hue va vahīñ udaas
ḳhush shab-o-roz paḌe auroñ ke haañ rahte ho
garche dil mein hi sada jaan-e-jahan rahte ho
par ba-zahir nahin malum kahan rahte ho
shukr-lillah ki abhi kaam tumhein baqi hai
le chuke dil to wale dar-pai-e-jaan rahte ho
aa nikalte ho kidhar bhul ke be-KHwahish-e-dil
ab bhi jao wahin har rose jahan rahte ho
ai KHush-abru koi phir Dhab pe chaDha taza shikar
yun jo har waqt liye tir-o-kaman rahte ho
gar kabhī aae 'asar' pas hue wa wahin udas
KHush shab-o-roz paDe auron ke han rahte ho
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 209)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.