dijiye ruKHsat-e-bosa nahin le baiThenge
dījiye ruḳhsat-e-bosa nahīñ le baiTheñge
pyāre ye yaad rahe jaan bhī de baiTheñge
pā-e-dīvār khaḌe rahne na diije behtar
aur haT kar tire kūche meñ pare baiTheñge
be-sar-o-pā haiñ kahāñ jā.eñge juuñ naqsh-e-qadam
ḳhāk-e-pā ham tire qadmoñ hī tale baiTheñge
ātish-e-ishq tire soḳhtagāñ juuñ sho.ala
jab talak haiñ koī ārām liye baiTheñge
rū-ba-rū us ke 'asar' aap ba-īñ-zinda-dilī
kab talak dil ke ta.iiñ maare hue baiTheñge
dijiye ruKHsat-e-bosa nahin le baiThenge
pyare ye yaad rahe jaan bhi de baiThenge
pa-e-diwar khaDe rahne na dije behtar
aur haT kar tere kuche mein pare baiThenge
be-sar-o-pa hain kahan jāeñge jun naqsh-e-qadam
KHak-e-pa hum tere qadmon hi tale baiThenge
aatish-e-ishq tere soKHtagan jun shoala
jab talak hain koi aaram liye baiThenge
ru-ba-ru us ke 'asar' aap ba-in-zinda-dili
kab talak dil ke tain mare hue baiThenge
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 236)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.