aashna jo mizha ka hota hai
āshnā jo mizha kā hotā hai
apne haq meñ vo kāñTe botā hai
shaiḳh-jī ek rose mujh ko 'asar'
lage kahne abas tū rotā hai
un butoñ ke liye ḳhudā na kare
dīn-o-dil yuuñ koī bhī khotā hai
na tujhe din ko chain hai ik aan
ek dam raat ko na sotā hai
maiñ kahā ḳhuub sun ke ai nādāñ
jā mashīḳhat ko kyuuñ Dubotā hai
tū hai mullā tirī balā jaane
āshiqī meñ jo kuchh ki hotā hai
aashna jo mizha ka hota hai
apne haq mein wo kanTe bota hai
shaiKH-ji ek rose mujh ko 'asar'
lage kahne abas tu rota hai
un buton ke liye KHuda na kare
din-o-dil yun koi bhi khota hai
na tujhe din ko chain hai ek aan
ek dam raat ko na sota hai
main kaha KHub sun ke ai nadan
ja mashiKHat ko kyun Dubota hai
tu hai mulla teri bala jaane
aashiqi mein jo kuchh ki hota hai
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 242)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.