Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHafa us se kyun tu meri jaan hai

Khwaja Meer Asar

KHafa us se kyun tu meri jaan hai

Khwaja Meer Asar

MORE BYKhwaja Meer Asar

    ḳhafā us se kyuuñ mirī jaan hai

    'asar' koī dam mehmān hai

    tere ahd meñ saḳht andher hai

    ki ishq-o-havas har-do yaksān hai

    kahūñ kyā ḳhudā jāntā hai sanam

    mohabbat tirī apnā īmān hai

    dil-o-ġham meñ aur sīna-o-dāġh meñ

    rifāqat yaañ ahd-o-paimān hai

    tujhe bhī kabho kuchh mirā hai ḳhayāl

    mujhe marte marte tirā dhyān hai

    na dekhā phir āḳhir ki mushkil paḌī

    udhar dekhnā aisā āsān hai

    qayāmat yahī hai ki abrū kamāñ

    tujhe jin ne dekhā so qurbān hai

    guloñ tarah chaak ai bahār

    muhayyā har ik yaañ garebān hai

    bhalā diid kar lījiye muft hai

    ki ab tak sitamgar vo anjān hai

    mujhe qatl karte to un ne kyā

    par apne ka.e par pashemān hai

    nahīñ hai ye qātil taġhāful vaqt

    ḳhabar le ki baaqī abhī jaan hai

    ta.ammul kahāñ varna chuuñ ġhuncha yaañ

    jo sar hai so ġharq-e-garebān hai

    ye kyā ho gayā dekhte dekhte

    'asar' maiñ to maiñ vo bhī hairān hai

    KHafa us se kyun tu meri jaan hai

    'asar' tu koi dam ka mehman hai

    tere ahd mein saKHt andher hai

    ki ishq-o-hawas har-do yaksan hai

    kahun kya KHuda jaanta hai sanam

    mohabbat teri apna iman hai

    dil-o-gham mein aur sina-o-dagh mein

    rifaqat ka yan ahd-o-paiman hai

    tujhe bhi kabho kuchh mera hai KHayal

    mujhe marte marte tera dhyan hai

    na dekha phir aaKHir ki mushkil paDi

    udhar dekhna aisa aasan hai

    qayamat yahī hai ki abru kaman

    tujhe jin ne dekha so qurban hai

    gulon ki tarah chaak ka ai bahaar

    muhayya har ek yan gareban hai

    bhala did kar lijiye muft hai

    ki ab tak sitamgar wo anjaan hai

    mujhe qatl karte to un ne kya

    par apne kae par pasheman hai

    nahin hai ye qatil taghaful ka waqt

    KHabar le ki baqi abhi jaan hai

    tammul kahan warna chun ghuncha yan

    jo sar hai so gharq-e-gareban hai

    ye kya ho gaya dekhte dekhte

    'asar' main to main wo bhi hairan hai

    Source :
    • Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 225)
    • Author : Mir Asar
    • Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now