kabho humse bhi wafa kijiyega
kabho ham se bhī vafā kījiyegā
yā yahī jaur-o-jafā kījiyegā
dekheñ dushnām kahāñ tak doge
dam meñ sau baar duā kījiyegā
nazar aatā hai girah zulf se khol
har taraf fitna bapā kījiyegā
jān-o-dil se bhī guzar jā.eñge
agar aisā hī ḳhafā kījiyegā
kī hai bande ke liye ye be-dād
rahm Tuk bahr-e-ḳhudā kījiyegā
ishq ke sadme uThātā thā dil
ab to vo bhī nahīñ kyā kījiyegā
ab to Tuk merā kahā kījiye phir
chāhiyegā so kahā kījiyegā
go use ahl-e-vafā se hai ḳhilāf
aap 'asar' to bhī vafā kījiyegā
kabho hum se bhi wafa kijiyega
ya yahī jaur-o-jafa kijiyega
dekhen dushnam kahan tak doge
dam mein sau bar dua kijiyega
nazar aata hai girah zulf se khol
har taraf fitna bapa kijiyega
jaan-o-dil se bhi guzar jāeñge
agar aisa hi KHafa kijiyega
ki hai bande ke liye ye be-dad
rahm Tuk bahr-e-KHuda kijiyega
ishq ke sadme uThata tha dil
ab to wo bhi nahin kya kijiyega
ab to Tuk mera kaha kijiye phir
chahiyega so kaha kijiyega
go use ahl-e-wafa se hai KHilaf
aap 'asar' to bhi wafa kijiyega
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 185)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.