wahshat-zada dil to jun sharar hai
vahshat-zada dil to juuñ sharar hai
us ke ta.iiñ aap se safar hai
tum jaur-o-jafā kaaro jo chāho
in bātoñ pe kab mujhe nazar hai
tū aap hī ḳhair aap shar hai
kuchh aur na naf.a nai zarar hai
ham be-ḳhabroñ se rah ḳhabar-dār
itnī to bhalā tujhe ḳhabar hai
guzrī jaatī hai har tarah se
duniyā guzrān sar-ba-sar hai
dil ke ḳhatroñ se be-ḳhatar huuñ
sar se paañv talak ḳhatar hai
tū ne hī to yuuñ niDar kiyā hai
bas ek mujhe tirā hī Dar hai
yuuñ dard ba-jān-o-dil samāyā
har nāla-o-āh kārgar hai
yā hazrat-e-andalīb baḳhshish
ye tere hī dard kā asar hai
dil terī taraf hai nit par us ko
ma.alūm nahīñ ki tū kidhar hai
yuuñ aañkh se aañkh meñ milā hai
itnā to mirā dil-o-jigar hai
be-dard tū kyūñ-ki rah sakegā
ye hazrat-e-'dard' kā 'asar' hai
wahshat-zada dil to jun sharar hai
us ke tain aap se safar hai
tum jaur-o-jafa karo jo chaho
in baaton pe kab mujhe nazar hai
tu aap hi KHair aap shar hai
kuchh aur na nafa nai zarar hai
hum be-KHabron se rah KHabar-dar
itni to bhala tujhe KHabar hai
guzri jati hai har tarah se
duniya guzran sar-ba-sar hai
dil ke KHatron se be-KHatar hun
sar se panw talak KHatar hai
tu ne hi to yun niDar kiya hai
bas ek mujhe tera hi Dar hai
yun dard ba-jaan-o-dil samaya
har nala-o-ah kargar hai
ya hazrat-e-andalib baKHshish
ye tere hi dard ka asar hai
dil teri taraf hai nit par us ko
malum nahin ki tu kidhar hai
yun aankh se aankh mein mila hai
itna to mera dil-o-jigar hai
be-dard tu kyun-ki rah sakega
ye hazrat-e-'dard' ka 'asar' hai
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Abdul Haq (Pg. 58)
- Author : Mir Asar
- Publication : Muslim University Press, Aligarh (1930)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.