Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jon gul tu hanse hai khil-khila kar

Khwaja Meer Asar

jon gul tu hanse hai khil-khila kar

Khwaja Meer Asar

MORE BYKhwaja Meer Asar

    joñ gul hañse hai khil-khilā kar

    shabnam tarah mujhe rulā kar

    mehmān ho ki yaañ aa kar

    rakh mujhe apne haañ bulā kar

    dar par tere ham ne ḳhaak chhānī

    naqd-e-dil ḳhaak meñ milā kar

    mānūs na thā vo but kaso se

    Tuk raam kiyā ḳhudā-ḳhudā kar

    kin ne kahā aur se na mil

    par ham se bhī kabho milā kar

    go ziist se haiñ ham aap bezār

    itnā pe na jaan se ḳhafā kar

    kuchh be-asroñ ko bhī asar ho

    itnī to bhalā 'asar' duā kar

    jon gul tu hanse hai khil-khila kar

    shabnam ki tarah mujhe rula kar

    mehman ho ya ki yan tu aa kar

    ya rakh mujhe apne han bula kar

    dar par tere hum ne KHak chhani

    naqd-e-dil KHak mein mila kar

    manus na tha wo but kaso se

    Tuk ram kiya KHuda-KHuda kar

    kin ne kaha aur se na mil tu

    par hum se bhi kabho mila kar

    go zist se hain hum aap bezar

    itna pe na jaan se KHafa kar

    kuchh be-asron ko bhi asar ho

    itni to bhala 'asar' dua kar

    Source :
    • Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 196)
    • Author : Mir Asar
    • Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now