Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

bewafa tujhse kuchh gila hi nahin

Khwaja Meer Asar

bewafa tujhse kuchh gila hi nahin

Khwaja Meer Asar

MORE BYKhwaja Meer Asar

    bevafā tujh se kuchh gila nahīñ

    to goyā ki āshnā nahīñ

    ḳhudā paas butāñ ke paas

    dil kabho apne haañ rahā nahīñ

    dil se jo chāhiye so bāñdhiye baat

    maiñ ne vallāh kuchh kahā nahīñ

    tere kūcha se aah jaane ko

    dil nahīñ ki apne nahīñ

    yaañ taġhāful meñ apnā kaam huā

    tere nazdīk ye jafā nahīñ

    naale bulbul ne go hazār ka.e

    ek bhī gul ne par sunā nahīñ

    kuchh na hotā 'asar' asar us ko

    bhale ko naala to kiyā nahīñ

    bewafa tujh se kuchh gila hi nahin

    tu to goya ki aashna hi nahin

    ya KHuda pas ya butan ke pas

    dil kabho apne han raha hi nahin

    dil se jo chahiye so bandhiye baat

    main ne wallah kuchh kaha hi nahin

    tere kucha se aah jaane ko

    dil nahin ya ki apne pa hi nahin

    yan taghaful mein apna kaam hua

    tere nazdik ye jafa hi nahin

    nale bulbul ne go hazar kae

    ek bhi gul ne par suna hi nahin

    kuchh na hota 'asar' asar us ko

    bhale ko nala to kiya hi nahin

    Source :
    • Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 200)
    • Author : Mir Asar
    • Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now