Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

main tujhe wah kya tamasha hai

Khwaja Meer Asar

main tujhe wah kya tamasha hai

Khwaja Meer Asar

MORE BYKhwaja Meer Asar

    maiñ tujhe vaah kyā tamāshā hai

    zehn meñ āshnā tarāshā hai

    haath meñ rakhiyo to sambhāle hue

    dil to merā ye sīsha-bāshā hai

    jo taule hai mere man chaah

    kuchh tire haañ bhī tolā-māsha hai

    kyā kahūñ terī kāvish-e-mizha ne

    kis tarah se jigar ḳharāshā hai

    ḳhair guzre 'asar' hai bebāk

    aur vo shoḳh be-tahāsha hai

    main tujhe wah kya tamasha hai

    zehn mein aashna tarasha hai

    hath mein rakhiyo to sambhaale hue

    dil to mera ye sisha-basha hai

    tu jo taule hai mere man ki chah

    kuchh tere han bhi tola-masha hai

    kya kahun teri kawish-e-mizha ne

    kis tarah se jigar KHarasha hai

    KHair guzre 'asar' tu hai bebak

    aur wo shoKH be-tahasha hai

    Source :
    • Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 217)
    • Author : Mir Asar
    • Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now