dekh kar dil ko pech-o-tab ke beach
dekh kar dil ko pech-o-tāb ke beach
aa paḌā muft maiñ azaab ke beach
kaun rahtā hai tere ġham ke sivā
is dil-e-ḳhānumāñ-ḳharāb ke beach
tere ātish-zadoñ ne misl-sharār
umr kaaTī hai iztirāb ke beach
kyā kahūñ tujh se ab ke maiñ tujh ko
kis tarah dekhtā huuñ ḳhvāb ke beach
sham.a fānūs meñ na jab ke chhupe
kab chhupe hai ye muñh naqāb ke beach
Tuk tabassum ne kī shakar-rezī
baare ab talḳhī-e-itāb ke beach
kyā kahe vo ki sab huvaidā hai
shaan terī tirī kitāb ke beach
hai ġhulāmī 'asar' ko hazrat-e-'dard'
ba-dil-o-jāñ tirī janāb ke beach
dekh kar dil ko pech-o-tab ke beach
aa paDa muft main azab ke beach
kaun rahta hai tere gham ke siwa
is dil-e-KHanuman-KHarab ke beach
tere aatish-zadon ne misl-sharar
umr kaTi hai iztirab ke beach
kya kahun tujh se ab ke main tujh ko
kis tarah dekhta hun KHwab ke beach
shama fanus mein na jab ke chhupe
kab chhupe hai ye munh naqab ke beach
Tuk tabassum ne ki shakar-rezi
bare ab talKHi-e-itab ke beach
kya kahe wo ki sab huwaida hai
shan teri teri kitab ke beach
hai ghulami 'asar' ko hazrat-e-'dard'
ba-dil-o-jaan teri janab ke beach
- Book : Diwan-e-Asar Edited: Kamil Quraishi (Pg. 195)
- Author : Mir Asar
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1978)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.