ras kyun kar aae duniya mein koi manzil mujhe
raas kyuuñ kar aa.e duniyā meñ koī manzil mujhe
chain se rahne nahīñ detā kahīñ bhī dil mujhe
ishtiyāq-e-jalva-hā-e-husn-e-fitrat dekh kar
zauq-e-nazāra hai fikr-e-dīd ke qābil mujhe
ḳhūbī-e-qismat kahūñ yā mahz husn-e-ittifāq
talḳhiyāñ taqdīr kī hotī haiñ kam hāsil mujhe
zindagī kī dāstāñ har rose dohrātī hai sham.a
mustaqil kab hai nizām-e-raunaq-e-mahfil mujhe
ho nahīñ saktā mujāhid ḳhud-farebī kā shikār
dil musalmāñ hai to har tūfān hai sāhil mujhe
ras kyun kar aae duniya mein koi manzil mujhe
chain se rahne nahin deta kahin bhi dil mujhe
ishtiyaq-e-jalwa-ha-e-husn-e-fitrat dekh kar
zauq-e-nazara hai fikr-e-did ke qabil mujhe
KHubi-e-qismat kahun ya mahz husn-e-ittifaq
talKHiyan taqdir ki hoti hain kam hasil mujhe
zindagi ki dastan har rose dohraati hai shama
mustaqil kab hai nizam-e-raunaq-e-mahfil mujhe
ho nahin sakta mujahid KHud-farebi ka shikar
dil musalman hai to har tufan hai sahil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.