shabab-o-husn-o-haqiqat se khelta hun main
shabāb-o-husn-o-haqīqat se kheltā huuñ maiñ
gunāh-gār huuñ rahmat se kheltā huuñ maiñ
nigāh-e-nāz ishāre bahār-e-daur-e-nishāt
jahān-e-husn kī daulat se kheltā huuñ maiñ
kisī hasīn sharārat se khelne ke liye
ḳhud apne dil kī harārat se kheltā huuñ maiñ
tirī sharīr nigāheñ payām detī haiñ
payām-e-jurm-e-mohabbat se kheltā huuñ maiñ
tirā firāq tiirā intizār terā ḳhayāl
ye muḳhtasar hai qiyāmat se kheltā huuñ maiñ
shabab-o-husn-o-haqiqat se khelta hun main
gunah-gar hun rahmat se khelta hun main
nigah-e-naz ishaare bahaar-e-daur-e-nishat
jahan-e-husn ki daulat se khelta hun main
kisi hasīn shararat se khelne ke liye
KHud apne dil ki hararat se khelta hun main
teri sharir nigahen payam deti hain
payam-e-jurm-e-mohabbat se khelta hun main
tera firaq tera intizar tera KHayal
ye muKHtasar hai qiyamat se khelta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.