dil mein sama ke aankh se parda na kijiye
dil meñ samā ke aañkh se parda na kījiye
banda-navāz dekhiye aisā na kījiye
kambaḳht kah ke ab mujhe rusvā na kījiye
yuuñ inkishāf jurm-e-tamannā na kījiye
apnī nazar se merā tamāsha na kījiye
mahshar jahān-e-ishq meñ barpā na kījiye
maiñ aap kā huuñ aap se bāhar nahīñ huuñ maiñ
mere liye takalluf bejā na kījiye
zahmat to hogī ek nazar kī ḳhatā muaaf
anjām car kī mere parvā na kījiye
duniyā hazār tarah kī bāteñ banā.egī
apnā banā ke mujhe kinārā na kījiye
dil aa gayā to jā.egā duniyā ke kaam se
us par navāzishāt ḳhudārā na kījiye
gustāḳh ho ke chuum na le chāñd sī jabīñ
chehre ko ā.īne meñ utārā na kījiye
'zaidī' kā zikr aap kareñ aur hañsī ke saath
duniyā hañsī uḌā.egī aisā na kījiye
dil mein sama ke aankh se parda na kijiye
banda-nawaz dekhiye aisa na kijiye
kambaKHt kah ke ab mujhe ruswa na kijiye
yun inkishaf jurm-e-tamanna na kijiye
apni nazar se mera tamasha na kijiye
mahshar jahan-e-ishq mein barpa na kijiye
main aap ka hun aap se bahar nahin hun main
mere liye takalluf beja na kijiye
zahmat to hogi ek nazar ki KHata muaf
anjam car ki mere parwa na kijiye
duniya hazar tarah ki baaten banaegi
apna bana ke mujhe kinara na kijiye
dil aa gaya to jaega duniya ke kaam se
us par nawazishat KHudara na kijiye
gustaKH ho ke chum na le chand si jabin
chehre ko aaine mein utara na kijiye
'zaidi' ka zikr aap karen aur hansi ke sath
duniya hansi uDaegi aisa na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.