mera alam alam nahin meri KHushi KHushi nahin
merā alam alam nahīñ merī ḳhushī ḳhushī nahīñ
sāmne tū agar nahīñ zindagī zindagī nahīñ
nāsehā aa.egā tujhe lutf na lutf-e-ḳhās kā
terī nigāh meñ agar husn kī raushnī nahīñ
aah na kar jigar jalā apnī nazar nazar banā
chāra-e-dard-e-kHās hai 'ishq fusūñ-garī nahīñ
khul na sake raaz kuchh tujh par kamāl-e-'ishq kā
har-har nafs tujhe agar 'ishq meñ bekalī nahīñ
dair pahuñch haram ko jā sar-ba-sujūd ho to kyā
dil ko tire jo khoj hai khoj vo dil lagī nahīñ
terā ḳhayāl terī yaad terī talab ba-qaid-e-hosh
banda-e-'ishq ke liye khel hai bandagī nahīñ
ham ne qubūl bār-hā dekh liyā parakh liyā
daatā husn ke la.al par faiz kī kuchh kamī nahīñ
mera alam alam nahin meri KHushi KHushi nahin
samne tu agar nahin zindagi zindagi nahin
naseha aaega tujhe lutf na lutf-e-KHas ka
teri nigah mein agar husn ki raushni nahin
aah na kar jigar jala apni nazar nazar bana
chaara-e-dard-e-kHas hai 'ishq fusun-gari nahin
khul na sake raaz kuchh tujh par kamal-e-'ishq ka
har-har nafs tujhe agar 'ishq mein bekali nahin
dair pahunch haram ko ja sar-ba-sujud ho to kya
dil ko tere jo khoj hai khoj wo dil lagi nahin
tera KHayal teri yaad teri talab ba-qaid-e-hosh
banda-e-'ishq ke liye khel hai bandagi nahin
hum ne qubul bar-ha dekh liya parakh liya
data husn ke lal par faiz ki kuchh kami nahin
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 80)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.