har fitna-o-takHrīb se bezār mile haiñ
mai-ḳhāne meñ kuchh sāhab-e-kirdār mile haiñ
duniyā jinheñ dīvāna samajhtī rahī barsoñ
aksar vahī dīvāne sar-e-dār mile haiñ
phir zulmat-e-daurāñ kī jabīñ hai shikan-ālūd
phir ek na.ī sub.h ke āsār mile haiñ
ye jalva-e-kaunain hai kis ke liye āḳhir
ye dīda-o-dil kyā yuuñ hī be-kār mile haiñ
hai misr ke bāzār kī bhī shaan nirālī
sab ek hī sūrat ke ḳharīdār mile haiñ
sayyād kī sāzish hai na gulchīñ kī ḳhatā hai
phūloñ kī mohabbat meñ hameñ ḳhaar mile haiñ
is daur-e-pur-āshob meñ masmūm fazā meñ
sirf ahl-e-junūñ ham ko ḳhabar-dār mile haiñ
'merāj' ġham-e-yār kī baat apnī jagah hai
milne ko mujhe saiñkaḌoñ ġham-ḳhvār mile haiñ
har fitna-o-takHrib se bezar mile hain
mai-KHane mein kuchh sahab-e-kirdar mile hain
duniya jinhen diwana samajhti rahi barson
aksar wahi diwane sar-e-dar mile hain
phir zulmat-e-dauran ki jabin hai shikan-alud
phir ek nai subh ke aasar mile hain
ye jalwa-e-kaunain hai kis ke liye aaKHir
ye dida-o-dil kya yun hi be-kar mile hain
hai misr ke bazar ki bhi shan nirali
sab ek hi surat ke KHaridar mile hain
sayyaad ki sazish hai na gulchin ki KHata hai
phulon ki mohabbat mein hamein KHar mile hain
is daur-e-pur-ashob mein masmum faza mein
sirf ahl-e-junun hum ko KHabar-dar mile hain
'meraj' gham-e-yar ki baat apni jagah hai
milne ko mujhe sainkaDon gham-KHwar mile hain
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 270)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.