qissa-e-ishq nahīñ be-asarī kā likhā
us kā har lafz hai ḳhūn-e-jigrī kā likhā
lahlahāte hue bāġhoñ se zamīñ par aanā
ye muqaddar thā kHatā-e-bashrī kā likhā
paḌ ga.ī kaun sī uftād-e-safar kyā ma.alūm
ek ḳhat bhī na milā ham-safarī kā likhā
miT sakegā na mere dil se kabhī naqsh-e-vafā
ye varaq hai tirī kāfir-nazarī kā likhā
yūsuftāñ nazar aatī hai bisāt-e-gulshan
ye sahīfa hai nasīm-e-saharī kā likhā
ḳhāma-e-ishq ne 'merāj' sar-e-lauh-e-jabīñ
haal pahle mirī shorīda-sarī kā likhā
qissa-e-ishq nahin be-asari ka likha
us ka har lafz hai KHun-e-jigri ka likha
lahlahate hue baghon se zamin par aana
ye muqaddar tha kHata-e-bashri ka likha
paD gai kaun si uftad-e-safar kya malum
ek KHat bhi na mila ham-safari ka likha
miT sakega na mere dil se kabhi naqsh-e-wafa
ye waraq hai teri kafir-nazari ka likha
yusuftan nazar aati hai bisat-e-gulshan
ye sahifa hai nasim-e-sahari ka likha
KHama-e-ishq ne 'meraj' sar-e-lauh-e-jabin
haal pahle meri shorida-sari ka likha
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XII (Pg. 270)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.