ishq sanam se ho gaya uske asar ko kya karun
ishq sanam se ho gayā us ke asar ko kyā karūñ
banda huuñ terā ai ḳhudā husn-e-bashar ko kyā karūñ
nūr-e-sahar se raushnī dair meñ ho huā kare
mujh ko to tum pasand ho apnī nazar ko kyā karūñ
bāġh-o-bahār hai to kyā saaqī lāla-rū nahīñ
jām-o-subū se kyā ġharz shams-o-qamar ko kyā karūñ
ishq sanam se ho gaya us ke asar ko kya karun
banda hun tera ai KHuda husn-e-bashar ko kya karun
nur-e-sahar se raushni dair mein ho hua kare
mujh ko to tum pasand ho apni nazar ko kya karun
bagh-o-bahaar hai to kya saqi lala-ru nahin
jam-o-subu se kya gharz shams-o-qamar ko kya karun
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.