mere murshid hain hu-ba-hu KHwaja
mere murshid haiñ hū-ba-hū ḳhvāja
jaise baiThe hoñ rū-ba-rū ḳhvāja
ho ga.ī ḳhatm aap ke dar par
shaiḳh-e-kāmil kī justujū ḳhvāja
mere māñ-bāp apne qurbāñ hoñ
chishtiyoñ kī haiñ aabrū ḳhvāja
mere mai-ḳhāna-e-tarīqat meñ
mai-o-jām-e-ḳhum-o-subū ḳhvāja
merā dam bhī sama.a meñ nikle
ab yahī hai ik aarzū ḳhvāja
laaj rakheñge naam ke sadqe
mujh ko kar deñge surḳh-rū ḳhvāja
mujh ko bhī tujh se ḳhaas nisbat hai
dil hai ajmer aur tū ḳhvāja
mere murshid hain hu-ba-hu KHwaja
jaise baiThe hon ru-ba-ru KHwaja
ho gai KHatm aap ke dar par
shaiKH-e-kaamil ki justuju KHwaja
mere man-bap apne qurban hon
chishtiyon ki hain aabru KHwaja
mere mai-KHana-e-tariqat mein
mai-o-jam-e-KHum-o-subu KHwaja
mera dam bhi sama mein nikle
ab yahī hai ek aarzu KHwaja
laj rakhenge nam ke sadqe
mujh ko kar denge surKH-ru KHwaja
mujh ko bhi tujh se KHas nisbat hai
dil hai ajmer aur tu KHwaja
- Book : Ghaib ka Sitara (Pg. 22)
- Author : Mueen Nizami
- Publication : Anybook, Noida (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.