mere qaba mein arsh makin hai ma dami subhan-allah
mere qabā meñ arsh makīñ hai mā daamī sub.hān-allāh
qurb-e-huzūrī aisī huī hai lā-ġhairī sub.hān-allāh
ahdan samadan jān-e-jahāñ hai ham ne jaanā lā-shak be-shak
jaan hai ab merī jān-e-jahānī lā-sānī sub.hān-allāh
piir hamārā haadī hamārā tāza-ravāñ vo lahza lahza
ham ko milāyā zāt-e-qidam se mā-rūhī sub.hān-allāh
marnā-jīnā dam dam kā ek sho.aba hai mire ishq-e-sanam kā
varna zinda aisā huā ab maut kudāmī sub.hān-allāh
mujhe barzaḳh-e-kubrā yaar kā hai shaitān kahāñ vasvās kujā
nafas merā mutma.inna hai dil-o-jān salāmī sub.hān-allāh
johaiñ vasl-e-habīb kā qasd havā chhuTe apne parā.e the jitne dilā
rahā murshid haadī rasūl-e-ḳhudā mere saath qayāmī sub.hān-allāh
'mardān-safī' chishtiya nizāmī mast huā bāda-e-qulhoallāh
nisbat-e-rūhī hai maulā-alī se mā-bāqī sub.hān-allāh
mere qaba mein arsh makin hai ma dami subhan-allah
qurb-e-huzuri aisi hui hai la-ghairi subhan-allah
ahdan samadan jaan-e-jahan hai hum ne jaana la-shak be-shak
jaan hai ab meri jaan-e-jahani la-sani subhan-allah
pir hamara hadi hamara taza-rawan wo lahza lahza
hum ko milaya zat-e-qidam se ma-ruhi subhan-allah
marna-jina dam dam ka ek shoaba hai mere ishq-e-sanam ka
warna zinda aisa hua ab maut kudami subhan-allah
mujhe barzaKH-e-kubra yar ka hai shaitan kahan waswas kuja
nafas mera mutmainna hai dil-o-jaan salami subhan-allah
johain wasl-e-habib ka qasd hawa chhuTe apne parae the jitne dila
raha murshid hadi rasul-e-KHuda mere sath qayami subhan-allah
'mardan-safi' chishtiya nizami mast hua baada-e-qulhoallah
nisbat-e-ruhi hai maula-ali se ma-baqi subhan-allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.