mere sath mahshar ka jhagDa nahin hai
mere sath mahshar kā jhagḌā nahīñ hai
mohabbat meñ imroz-o-fardā nahīñ hai
vahāñ jalva hai jalva-farmā nahīñ hai
mirā dil madīna hai ka.aba nahīñ hai
jo Dālūñ nigh-e-tūr de uTThe sho.ala
marī aañkh kuchh chashm-e-mūsā nahīñ hai
yahāñ aake uThte haiñ āñkhoñ se parde
madīna hai ye tūr-e-sīnā nahīñ hai
mubārak use ho vo rusvā-e-lailā
mujhe qais kī tarh saudā nahīñ hai
na chashm-e-basīrat na ham ko basārat
kahe kaun vo kyā hai vo kyā nahīñ hai
nasheman na jibra.īl us par banā.īñ
ye naḳhl-e-madīna hai tuubā nahīñ hai
na tinkā bane aañkh kā dashte-aiman
terā jalva barq-e-tajallī nahīñ hai
ga.e kahte shaidā-e-qāmat kisī ke
ye vo raah hai jis meñ saayā nahīñ hai
madīne meñ rahtī haiñ nīchī nigāheñ
adab-gāh ye hai tamāshā nahīñ hai
bahār-e-lahad ḳhuld meñ yaad aa.ī
ghaTā vo nahīñ hai vo sabza nahīñ hai
nahīñ hai koī dūsrā mere dil meñ
are tū hai terī tamannā nahīñ hai
bahut kuchh in āñkhoñ se dekhā hai maiñ ne
vahī ek hai jis ko dekhā nahīñ hai
haram kī azaañ pahuñche kyā mai-kade meñ
kisī kī vahāñ koī suntā nahīñ hai
'riyāz' us ko rahtā hai ik ḳhum kā nasha
adab se haram meñ jo piitā nahīñ hai
mere sath mahshar ka jhagDa nahin hai
mohabbat mein imroz-o-farda nahin hai
wahan jalwa hai jalwa-farma nahin hai
mera dil madina hai kaba nahin hai
jo Dalun nigh-e-tur de uTThe shoala
mari aankh kuchh chashm-e-musa nahin hai
yahan aake uThte hain aankhon se parde
madina hai ye tur-e-sina nahin hai
mubarak use ho wo ruswa-e-laila
mujhe qais ki tarh sauda nahin hai
na chashm-e-basirat na hum ko basarat
kahe kaun wo kya hai wo kya nahin hai
nasheman na jibrail us par banain
ye naKHl-e-madina hai tuba nahin hai
na tinka bane aankh ka dashte-aiman
tera jalwa barq-e-tajalli nahin hai
gae kahte shaida-e-qamat kisi ke
ye wo rah hai jis mein saya nahin hai
madine mein rahti hain nichi nigahen
adab-gah ye hai tamasha nahin hai
bahaar-e-lahad KHuld mein yaad aai
ghaTa wo nahin hai wo sabza nahin hai
nahin hai koi dusra mere dil mein
are tu hai teri tamanna nahin hai
bahut kuchh in aankhon se dekha hai main ne
wahi ek hai jis ko dekha nahin hai
haram ki azan pahunche kya mai-kade mein
kisi ki wahan koi sunta nahin hai
'riyaz' us ko rahta hai ek KHum ka nasha
adab se haram mein jo pita nahin hai
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 500)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.