meri aankhon mein agar aisi hi teri nit ko jalwa-gari rahi
meri aankhon mein agar aisi hi teri nit ko jalwa-gari rahi
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
merī āñkhoñ meñ agar aisī hī terī nit ko jalva-garī rahī
to hamesha koh meñ apne aap se yūñhīñ be-ḳhabarī rahī
are aah tere nihāñ se kabhī kuchh na barg-o-samar milā
na phale na phūle kabhī yuuñ hī tū hamesha be-samarī rahī
jo ye josh sail-e-sarishk kā koī roz aisā banā rahā
na badan meñ naam ko nam mile na dikhā.ī degī tirī rahī
abhī Das ke nāganī zulf kī mujhe haaye kaisī mukar ga.ī
mirī marg āñkhoñ ke sar lagā dekho aap kaisī barī rahī
chalī bād-e-garm firāq se jalā sab vujūd 'niyāz' kā
magar ek shāḳh-e-nihāl-e-ġham jise dil kaheñ so harī rahī
meri aankhon mein agar aisi hi teri nit ko jalwa-gari rahi
to hamesha koh mein apne aap se yunhin be-KHabari rahi
are aah tere nihan se kabhi kuchh na barg-o-samar mila
na phale na phule kabhi yun hi tu hamesha be-samari rahi
jo ye josh sail-e-sarishk ka koi roz aisa bana raha
na badan mein nam ko nam mile na dikhai degi teri rahi
abhi Das ke nagani zulf ki mujhe haye kaisi mukar gai
meri marg aankhon ke sar laga dekho aap kaisi bari rahi
chali baad-e-garm firaq se jala sab wujud 'niyaz' ka
magar ek shaKH-e-nihaal-e-gham jise dil kahen so hari rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.