meri wahshat mera jahan koi
merī vahshat mirā jahāñ koī
mere dil ko nahīñ amaañ koī
dil meñ kyā hai kyā koī samjhe
kaash samjhe na kuchh yahāñ koī
un kī vahshat se dil ye zinda hai
qalb-e-uryāñ meñ hai nihāñ koī
dard-e-dil kī davā mayassar ho
gar banā hai masīh yaañ koī
haal dil kā yahāñ kahūñ kis ko
ahl-e-dil haiñ na yaañ butāñ koī
yuuñ to har dam hujūm ghere thā
phir bhī tanhā rahā yahāñ koī
nesh-e-mizhgāñ jo dil meñ hai paivast
ya.anī har dam hai zaḳhm-e-navāñ koī
hā-e-be-kārī-e-dil aafat hai
go ho āshufta be-karāñ koī
sadma-e-ishq kā asar ye huā
hai jigar naala dil fuġhāñ koī
meri wahshat mera jahan koi
mere dil ko nahin aman koi
dil mein kya hai kya koi samjhe
kash samjhe na kuchh yahan koi
un ki wahshat se dil ye zinda hai
qalb-e-uryan mein hai nihan koi
dard-e-dil ki dawa mayassar ho
gar bana hai masih yan koi
haal dil ka yahan kahun kis ko
ahl-e-dil hain na yan butan koi
yun to har dam hujum ghere tha
phir bhi tanha raha yahan koi
nesh-e-mizhgan jo dil mein hai paiwast
yani har dam hai zaKHm-e-nawan koi
ha-e-be-kari-e-dil aafat hai
go ho aashufta be-karan koi
sadma-e-ishq ka asar ye hua
hai jigar nala dil fughan koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.