mina-o-subu bhi shad rahen aabaad rahe wo mai-KHana
mīnā-o-subū bhī shaad raheñ ābād rahe vo mai-ḳhāna
har vaqt chhalaktā hai jis meñ taslīm-o-razā kā paimāna
dohrā na sakā phir hairat se ḳhud tuur bhī apnā fasāna
jab naam tumhārā le-le kar taḌpā jo tumhārā dīvāna
ho jaa.e agar tū be-parda ai partav-e-husn-e-jānāna
lillāh abhī kar le pal meñ aiman kā nazāra mastāna
ḳhud aa.eñ fazā.eñ gardish meñ ḳhud jhuum uThā har mai-ḳhāna
maḳhmūr huā jab jalvoñ meñ gum ho ke tumhārā dīvāna
ai kaash tumhārī mahfil meñ is shaan se aa.e dīvāna
tābish ho nazar meñ jalvoñ kī aur aañkh meñ 'aks-e-jānāna
haañ merī zabāñ par aatā hai 'manzūr' ba-husn-e-mastāna
sad rashk-e-charāġh-e-tūr bane murshid kā hamāre kāshāna
mina-o-subu bhi shad rahen aabaad rahe wo mai-KHana
har waqt chhalakta hai jis mein taslim-o-raza ka paimana
dohra na saka phir hairat se KHud tur bhi apna fasana
jab nam tumhaara le-le kar taDpa jo tumhaara diwana
ho jae agar tu be-parda ai partaw-e-husn-e-jaanana
lillah abhi kar le pal mein aiman ka nazara mastana
KHud aaen fazaen gardish mein KHud jhum uTha har mai-KHana
maKHmur hua jab jalwon mein gum ho ke tumhaara diwana
ai kash tumhaari mahfil mein is shan se aae diwana
tabish ho nazar mein jalwon ki aur aankh mein 'aks-e-jaanana
han meri zaban par aata hai 'manzur' ba-husn-e-mastana
sad rashk-e-charagh-e-tur bane murshid ka hamare kashana
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 89)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.