mil jaye masarrat ki daulat dil-e-hairan ko
mil jaaye masarrat kī daulat dil-e-hairāñ ko
dekhūñ jo shab-e-furqat us mah-e-tābāñ ko
hai zaḳhm-e-jigar kaarī hai dard se jaañ aarī
maiñ DhūñDhtā phirtā huuñ ik īsā-e-daurāñ ko
āñkhoñ ko bichhātā huuñ jā.da-e-yasrib meñ
josh aayā sar-e-kausar gar dīda-e-giryāñ ko
kartā huuñ tilāvat jab is mus.haf-e-āriz ko
val-fajr sunātā huuñ shām-e-shab-e-hijrāñ ko
maiñ shukr bajā lā.ūñ dil se tire ehsāñ kā
ai abr-e-karam agar dho de tū nāma-e-isyāñ ko
jo maut se Darte haiñ jiine pe jo marte haiñ
ai 'mīr' vahī DhūñDheñ bas chashma-e-haivāñ ko
mil jaye masarrat ki daulat dil-e-hairan ko
dekhun jo shab-e-furqat us mah-e-taban ko
hai zaKHm-e-jigar kari hai dard se jaan aari
main DhunDhta phirta hun ek isa-e-dauran ko
aankhon ko bichhata hun jada-e-yasrib mein
josh aaya sar-e-kausar gar dida-e-giryan ko
karta hun tilawat jab is mushaf-e-ariz ko
wal-fajr sunata hun sham-e-shab-e-hijran ko
main shukr baja laun dil se tere ehsan ka
ai abr-e-karam agar dho de tu nama-e-isyan ko
jo maut se Darte hain jine pe jo marte hain
ai 'mir' wahi DhunDhen bas chashma-e-haiwan ko
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 162)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.