mila hai mujhko wo dil jis ko gham ki KHu-si hai
mila hai mujhko wo dil jis ko gham ki KHu-si hai
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
milā hai mujh ko vo dil jis ko ġham kī ḳhū-sī hai
vo ā.gaye haiñ magar phir bhī justujū sī hai
nazar nazar hai fasāna nafas nafas afsos
ye ḳhāmoshī bhī magar tirī guftugū sī hai
kisī se kah na sakūñ ḳhud yaqīñ kar na sakūñ
ik intizār sā hai ik aarzū sī hai
dimāġh-o-dil hai mo.attar girah khule na khule
ye zindagī bhī tirī zulf-e-mushk-bū sī hai
sabā hī rāsta bhūlī ki tuune yaad kiyā
ye aaj kyuuñ mirī sāñsoñ meñ tirī bū sī hai
sukūn dil ko kisī haal meñ nahīñ ai dost
hujūm-e-yās meñ bhī ik aarzū sī hai
junūñ se raunaq-e-bazm-e-ḳhirad ai 'maikash'
jo ham na hoñ to duniyā maqām-e-hū sī hai
mila hai mujh ko wo dil jis ko gham ki KHu-si hai
wo aagaye hain magar phir bhi justuju si hai
nazar nazar hai fasana nafas nafas afsos
ye KHamoshi bhi magar teri guftugu si hai
kisi se kah na sakun KHud yaqin kar na sakun
ek intizar sa hai ek aarzu si hai
dimagh-o-dil hai moattar girah khule na khule
ye zindagi bhi teri zulf-e-mushk-bu si hai
saba hi rasta bhuli ki tune yaad kiya
ye aaj kyun meri sanson mein teri bu si hai
sukun dil ko kisi haal mein nahin ai dost
hujum-e-yas mein bhi ek aarzu si hai
junun se raunaq-e-bazm-e-KHirad ai 'maikash'
jo hum na hon to duniya maqam-e-hu si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.