tawaf-e-kaba karne se nigah pur-nur hoti hai
tavāf-e-kā'ba karne se nigah pur-nūr hotī hai
magar dil kā sukūñ rauza hai aaqā aap kā bar-haq
añdherī shab meñ bhī rāh-e-haqīqat mil hī jaatī hai
ki un kī rahbarī meñ hai jahāñ ye pur-ziyā bar-haq
hasīñ vo jalva-e-rū-e-mohammad dekh kar dil ne
pukārā hai yahī sādiq yahī hai mujtabā bar-haq
tawaf-e-ka'ba karne se nigah pur-nur hoti hai
magar dil ka sukun rauza hai aaqa aap ka bar-haq
andheri shab mein bhi rah-e-haqiqat mil hi jati hai
ki un ki rahbari mein hai jahan ye pur-ziya bar-haq
hasin wo jalwa-e-ru-e-mohammad dekh kar dil ne
pukara hai yahi sadiq yahi hai mujtaba bar-haq
- Book : Rauzat-ul-Madaih
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.