mirī lau lagī hai tujhse ġham-e-zindagī miTā de
mirī lau lagī hai tujh se ġham-e-zindagī miTā de
tirā naam hai masīhā mire dard kī davā de
mirī pyaas baḌh rahī hai mirā dil sulag rahā hai
jo nahīñ hai jaam saaqī to nigāh se pilā de
mirā mudda.ā hai itnā tū agar kare gavāra
maiñ faqīr-e-āstāñ huuñ mujhe bandagī sikhā de
mujhe shauq-e-bandagī meñ yahī ek aarzū hai
tirā naqsh-e-pā jahāñ ho mirā sar vahīñ jhukā de
mujhe dekh kar pareshāñ kyā kahegā ye zamāna
maiñ bhaTak rahā huuñ dar dar mujhe aa ke aasrā de
tirā jaam jām-e-kausar tirā mai-kada hai jannat
mire haal pe karam kar mirī tishnagī bujhā de
jise aap chāhte the vo 'fanā' hai ab kafan meñ
koī jā ke aaj un ko zarā ye ḳhabar sunā de
mirī lau lagī hai tujh se ġham-e-zindagī miTā de
tirā nam hai masīhā mere dard kī dawā de
mirī pyas baḌh rahī hai mirā dil sulag rahā hai
jo nahīñ hai jam saqī to nigāh se pilā de
mirā muddaā hai itnā tū agar kare gawāra
maiñ faqīr-e-āstāñ huñ mujhe bandagī sikhā de
mujhe shauq-e-bandagī meñ yahī ek aarzū hai
tirā naqsh-e-pā jahāñ ho mirā sar wahīñ jhukā de
mujhe dekh kar pareshāñ kyā kahegā ye zamāna
maiñ bhaTak rahā huñ dar dar mujhe aa ke aasrā de
tirā jam jām-e-kausar tirā mai-kada hai jannat
mere haal pe karam kar mirī tishnagī bujhā de
jise aap chāhte the wo 'fanā' hai ab kafan meñ
koī jā ke aaj un ko zarā ye ḳhabar sunā de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.