Font by Mehr Nastaliq Web

mera diwana-pan farzangi se kam nahin hota

Aziz Warsi Dehlvi

mera diwana-pan farzangi se kam nahin hota

Aziz Warsi Dehlvi

mirā dīvāna-pan farzāngī se kam nahīñ hotā

ki maiñ rotā huuñ pahroñ aur dāman nam nahīñ hotā

tirā ġham sahne vaale par zamāna muskurātā hai

magar har shaḳhs qismat meñ terā ġham nahīñ hotā

mah-o-ḳhurshīd tābindagī kam hotī rahtī hai

magar dāġh-e-tamannā ujālā kam nahīñ hotā

abhī ai josh-e-girya ne ye sochā nahīñ shāyad

mohabbat chaman minnat-kash-e-shabnam nahīñ hotā

qayāmat tak rahe saaqī salāmat terā mai-ḳhāna

pilā.ī hai kuchh aisī kaif jis kam nahīñ hotā

vaqār-e-ishq par is dard se bhī harf aatā hai

'azīz-e-vārsī' vo dard jo paiham nahīñ hotā

mera diwana-pan farzangi se kam nahin hota

ki main rota hun pahron aur daman nam nahin hota

tera gham sahne wale par zamana muskuraata hai

magar har shaKHs ki qismat mein tera gham nahin hota

mah-o-KHurshid ki tabindagi kam hoti rahti hai

magar dagh-e-tamanna ka ujala kam nahin hota

abhi ai josh-e-girya tu ne ye socha nahin shayad

mohabbat ka chaman minnat-kash-e-shabnam nahin hota

qayamat tak rahe saqi salamat tera mai-KHana

pilai hai kuchh aisi kaif jis ka kam nahin hota

waqar-e-ishq par is dard se bhi harf aata hai

'aziz-e-warsi' wo dard jo paiham nahin hota

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 23)
  • Author : Azeez Warsi
  • Publication : Markazi Printers, chudiwalan,Delhi (1993)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now