mera ishq manzar-e-am par tera husn parda-e-raaz mein
mera ishq manzar-e-am par tera husn parda-e-raaz mein
Qaisar Shah Warsi
MORE BYQaisar Shah Warsi
mirā ishq manzar-e-ām par tirā husn parda-e-rāz meñ
yahī farq roz-e-azal se hai tire naaz mere niyāz meñ
na haqīqatoñ se mujhe ġharaz na qadam hai merā majāz meñ
ki maiñ huuñ talāsh-e-jamāl meñ ki maiñ huuñ tajassus-e-nāz meñ
mere sajda-hā-e-junūñ ko ab kisī dar se kuchh nahīñ vāsta
ki hazār ka.aba-o-dair haiñ mirī ik jabīn-e-niyāz meñ
na vo hosh hai na vo be-ḳhudī na ḳhirad rahī na junūñ rahā
ye tirī nazar kī haiñ shoḳhiyāñ ye kamāl hai tire naaz meñ
mujhe kyā ḳhabar ki baqā hai kyā mujhe kyā ḳhabar ki fanā hai kyā
ki maiñ do-jahāñ se huuñ be-ḳhabar tire ishq-e-fitna-navāz meñ
ye duā hai 'qaisar-e-vārsī' ki madīna merā maqām ho
mirī zindagī kī jo shaam ho to sahr ho us kī hijāz meñ
mera ishq manzar-e-am par tera husn parda-e-raaz mein
yahi farq roz-e-azal se hai tere naz mere niyaz mein
na haqiqaton se mujhe gharaz na qadam hai mera majaz mein
ki main hun talash-e-jamal mein ki main hun tajassus-e-naz mein
mere sajda-ha-e-junun ko ab kisi dar se kuchh nahin wasta
ki hazar kaba-o-dair hain meri ek jabin-e-niyaz mein
na wo hosh hai na wo be-KHudi na KHirad rahi na junun raha
ye teri nazar ki hain shoKHiyan ye kamal hai tere naz mein
mujhe kya KHabar ki baqa hai kya mujhe kya KHabar ki fana hai kya
ki main do-jahan se hun be-KHabar tere ishq-e-fitna-nawaz mein
ye dua hai 'qaisar-e-warsi' ki madina mera maqam ho
meri zindagi ki jo sham ho to sahr ho us ki hijaz mein
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 207)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.