shakl-e-insan mein nur hai tera
shakl-e-insāñ meñ nuur hai terā
har do-ālam zuhūr hai terā
vasl terī kā ḳhaas qurb-o-makāñ
kyā kahūñ yaar duur hai terā
nahnu-aqrab se ḳhud huuñ maiñ ġhāfil
kab kahūñ maiñ qusūr hai terā
lan-tarānī ne terī phūñk diyā
kūcha-e-yār tuur hai terā
kyā kahūñ ishq meñ bhalā tujh ko
sab ke dil meñ futūr hai terā
garche huuñ maiñ gunāhgāroñ meñ
naam pyāre ġhafūr hai terā
vasl terā hai jannat-ul-māvā
hijr yaumun-nushūr hai terā
'mīrāñ' shaah ko bulāo yā ḳhvāja
mere dil meñ surūr hai terā
shakl-e-insan mein nur hai tera
har do-alam zuhur hai tera
wasl teri ka KHas qurb-o-makan
kya kahun yar dur hai tera
nahnu-aqrab se KHud hun main ghafil
kab kahun main qusur hai tera
lan-tarani ne teri phunk diya
kucha-e-yar tur hai tera
kya kahun ishq mein bhala tujh ko
sab ke dil mein futur hai tera
garche hun main gunahgaron mein
nam pyare ghafur hai tera
wasl tera hai jannat-ul-mawa
hijr yaumun-nushur hai tera
'miran' shah ko bulao ya KHwaja
mere dil mein surur hai tera
- Book : Guldasta-e-meeran Shah (Pg. 2)
- Author : Meeran Shan Jalandhari
- Publication : Hameedia Steam Press Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.