ishq hai dil ko satata raat din
ishq hai dil ko satātā raat din
yaar hai mukhḌā chhupātā raat din
ishq-nādī kī hidāyat aur hai
kaan meñ merī sunātā raat din
apnī hastī aur ḳhudī ko chhoḌ de
har meñ haq haq hai batātā raat din
yaar kyā makkār dhokebāz hai
hai mujhe kyā kyā samjhātā raat din
aap hai ḳhud kah rahā innī-anā
mujh ko dhoke meñ hai paatā raat din
aap ḳhud maujūd hai har shaan meñ
aap ko kyuuñ hai chhupātā raat din
'mīrāñ' shaah qadmoñ tale maḳhdūm ke
dam-badam sar huuñ jhukātā raat din
ishq hai dil ko satata raat din
yar hai mukhDa chhupata raat din
ishq-nadi ki hidayat aur hai
kan mein meri sunata raat din
apni hasti aur KHudi ko chhoD de
har mein haq haq hai batata raat din
yar kya makkar dhokebaz hai
hai mujhe kya kya samjhata raat din
aap hai KHud kah raha inni-ana
mujh ko dhoke mein hai pata raat din
aap KHud maujud hai har shan mein
aap ko kyun hai chhupata raat din
'miran' shah qadmon tale maKHdum ke
dam-badam sar hun jhukata raat din
- Book : Guldasta-e-meeran Shah (Pg. 4)
- Author : Meeran Shan Jalandhari
- Publication : Hameedia Steam Press Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.