hum ishq mein dil-dar ke hairan hain wallah
hum ishq mein dil-dar ke hairan hain wallah
Mira'n Shah Jalandhari
MORE BYMira'n Shah Jalandhari
ham ishq meñ dil-dār ke hairān haiñ vallāh
har aan judā.ī se pareshān haiñ vallāh
chheḌo na mujhe yaaro koī soḳhta-dil ko
ham apnī miyāñ jaan se be-jān haiñ vallāh
jab apnī ḳhabar mujh ko nahīñ hai ki maiñ kyā huuñ
haivān se bad-tar hamīñ insān haiñ vallāh
kyā ham ko bhalā āshiq-e-majnūñ kī ḳhabar hai
ham aap hī bargashta-o-vīrān haiñ vallāh
jab yaar ko mushtāq kī milne kī ġharaz ho
phir ham ko sabhī manzileñ āsān haiñ vallāh
hai kaun jo karatā nahīñ ḳhāliq kī parastish
ham kahte haiñ ham sāhib-e-qur.ān haiñ vallāh
mīrāñ shaah vo har shaan meñ benām-o-nishāñ hai
ham kyā haiñ yūñhī be-sar-o-sāmān haiñ vallāh
hum ishq mein dil-dar ke hairan hain wallah
har aan judai se pareshan hain wallah
chheDo na mujhe yaro koi soKHta-dil ko
hum apni miyan jaan se be-jaan hain wallah
jab apni KHabar mujh ko nahin hai ki main kya hun
haiwan se bad-tar hamin insan hain wallah
kya hum ko bhala aashiq-e-majnun ki KHabar hai
hum aap hi bargashta-o-viran hain wallah
jab yar ko mushtaq ki milne ki gharaz ho
phir hum ko sabhi manzilen aasan hain wallah
hai kaun jo karata nahin KHaliq ki parastish
hum kahte hain hum sahib-e-quran hain wallah
miran shah wo har shan mein benam-o-nishan hai
hum kya hain yunhi be-sar-o-saman hain wallah
- Book : Guldasta-e-meeran Shah (Pg. 8)
- Author : Meeran Shan Jalandhari
- Publication : Hameedia Steam Press Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.