yaad aati hai mujhe ai yar dildari teri
yaad aati hai mujhe ai yar dildari teri
Mira'n Shah Jalandhari
MORE BYMira'n Shah Jalandhari
yaad aatī hai mujhe ai yaar dildārī terī
vo nidā-e-kHudi-alastī ḳhaas guftārī terī
shauq meñ aakar tujhe ham ne kahā qālū-balā
vā'ada-e-lā-taqnatū ke saath ġham-ḳhvārī terī
aap apne husn par pahle mujhe shaidā kiyā
ab nahīñ vo mehrbānī kyā huī yaarī terī
ishq ne phūñkā hai merā tan-badan ai be-niyāz
is pe bhī yaad aatī hai pahlī vafādārī terī
tursh-rū ho kar mujhe dete ho badnāmī miyāñ
qand se shīrīñ hai ai nāzuk-badan gaarī terī
maiñ nahīñ huuñ tuuhī tū hai ai sanam terī qasam
phir bhalā kis par huī jaur-o-sitam-gārī terī
yā nabī ḳhud aap kā hai ā'ashiq-o-shaidā ḳhudā
ḳhud ḳhudā hī kar rahā hai nāz-bardārī terī
yā mohammad 'mīrāñ' shaah kī aarzū manzūr ho
dam-ba-dam karatā rahūñ sifat-o-sanā-dārī terī
yaad aati hai mujhe ai yar dildari teri
wo nida-e-kHudi-alasti KHas guftari teri
shauq mein aakar tujhe hum ne kaha qalu-bala
wa'ada-e-la-taqnatu ke sath gham-KHwari teri
aap apne husn par pahle mujhe shaida kiya
ab nahin wo mehrbani kya hui yari teri
ishq ne phunka hai mera tan-badan ai be-niyaz
is pe bhi yaad aati hai pahli wafadari teri
tursh-ru ho kar mujhe dete ho badnami miyan
qand se shirin hai ai nazuk-badan gari teri
main nahin hun tuhi tu hai ai sanam teri qasam
phir bhala kis par hui jaur-o-sitam-gari teri
ya nabi KHud aap ka hai aa'ashiq-o-shaida KHuda
KHud KHuda hi kar raha hai naz-bardari teri
ya mohammad 'miran' shah ki aarzu manzur ho
dam-ba-dam karata rahun sifat-o-sana-dari teri
- Book : Guldasta-e-meeran Shah (Pg. 15)
- Author : Meeran Shan Jalandhari
- Publication : Hameedia Steam Press Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.