le gaya dil chhin kar dildar apne hath se
le gaya dil chhin kar dildar apne hath se
Mira'n Shah Jalandhari
MORE BYMira'n Shah Jalandhari
le gayā dil chhīn kar dildār apne haath se
mujh ko ghā.il kar gayā vo yaar apne haath se
maiñ to soyā thā paḌā ḳhvāb-e-adam meñ chain se
ḳhud-ba-ḳhud mujh ko kiyā bedār apne haath se
furqat-e-hamdam meñ jiine kā bharosa kuchh nahīñ
haaye zaḳhmī kar gayā ḳhuñḳhār apne haath se
lag ga.ī ishq-e-butāñ kī aag jis ko ai miyāñ
phūñk Daalā us ne sab ghar-bār apne haath se
gar nahīñ manzūr tujh ko vasl ai qātil mere
pher de hulqūm par talvār apne haath se
laash merī dekh kar kahne laggā vo tursh-rū
dafn kar deñge use sau baar apne haath se
nabz merī dekh kar bolā tabīb-e-rāz-dāñ
de ke dil us ne liyā āzār apne haath se
yā muīnuddīn chishtī bahr-e-ġham meñ huuñ paḌā
apne bande ko kaaro tum paar apne haath se
'mīrāñ' shaah roz-e-hashar ko jaam kausar kā miyāñ
deñge tujh ko haidar-e-karrār apne haath se
le gaya dil chhin kar dildar apne hath se
mujh ko ghail kar gaya wo yar apne hath se
main to soya tha paDa KHwab-e-adam mein chain se
KHud-ba-KHud mujh ko kiya bedar apne hath se
furqat-e-hamdam mein jine ka bharosa kuchh nahin
haye zaKHmi kar gaya KHunKHar apne hath se
lag gai ishq-e-butan ki aag jis ko ai miyan
phunk Dala us ne sab ghar-bar apne hath se
gar nahin manzur tujh ko wasl ai qatil mere
pher de hulqum par talwar apne hath se
lash meri dekh kar kahne lagga wo tursh-ru
dafn kar denge use sau bar apne hath se
nabz meri dekh kar bola tabib-e-raaz-dan
de ke dil us ne liya aazar apne hath se
ya muinuddin chishti bahr-e-gham mein hun paDa
apne bande ko karo tum par apne hath se
'miran' shah roz-e-hashar ko jam kausar ka miyan
denge tujh ko haidar-e-karrar apne hath se
- Book : Guldasta-e-meeran Shah (Pg. 19)
- Author : Meeran Shan Jalandhari
- Publication : Hameedia Steam Press Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.