jalwa-e-husn-e-kHuda mujhko dikha de sabir
jalwa-e-husn-e-kHuda mujhko dikha de sabir
Mira'n Shah Jalandhari
MORE BYMira'n Shah Jalandhari
jalva-e-husn-e-kHudā mujh ko dikhā de sābir
apne dīdār se dīvāna banā de sābir
aap ke shauq sivā ġhair kī ulfat na rahī
hai mere dil meñ terā ishq nibhā de sābir
mahv rahte ho sadā zāt-e-ḳhudā meñ maulā
apne mai-ḳhāna se ik jaam pilā de sābir
aarzū gañj-e-shakar se hai merī shām-o-sahar
mere maulā na kahīñ mujh ko bhulā de sābir
rāhat-e-jān-e- nabī nūr-e-do-chashmāñ-e-alī
shah-e-jīlāñ ke jigar dil kī davā de sābir
mīrāñ shaah kyuuñ na ho mashkūr terā dil se miyāñ
mujh ko shīrīñ suḳhanī apnī sunā de sābir
jalwa-e-husn-e-kHuda mujh ko dikha de sabir
apne didar se diwana bana de sabir
aap ke shauq siwa ghair ki ulfat na rahi
hai mere dil mein tera ishq nibha de sabir
mahw rahte ho sada zat-e-KHuda mein maula
apne mai-KHana se ek jam pila de sabir
aarzu ganj-e-shakar se hai meri sham-o-sahar
mere maula na kahin mujh ko bhula de sabir
rahat-e-jaan-e- nabi nur-e-do-chashman-e-ali
shah-e-jilan ke jigar dil ki dawa de sabir
miran shah kyun na ho mashkur tera dil se miyan
mujh ko shirin suKHani apni suna de sabir
- Book : Guldasta-e-meeran Shah (Pg. 18)
- Author : Meeran Shan Jalandhari
- Publication : Hameedia Steam Press Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.