jamal-e-KHuda ki hamein aarzu hai
jamāl-e-ḳhudā kī hameñ aarzū hai
vo zāt-e-baqā kī hameñ aarzū hai
kiyā nuur apne se nūr-e-mohammad
sadā mustafā kī hameñ aarzū hai
tumheñ zāhido hūr-o-ġhilmāñ mubārak
jo kHair-ul-varā kī hameñ aarzū hai
tajassus meñ haiñ kHizr-o-ilyās jis kī
usī rahnumā kī hameñ aarzū hai
ayaañ jis kā jalva hai arz-o-samāñ meñ
usī mah-laqā kī hameñ aarzū hai
haiñ ba.ad az nabī sab ke muḳhtār mālik
to mushkil-kushā kī hameñ aarzū hai
yahāñ jis ne ḳhaibar ke dar ko ukhāḌā
alī murtazā kī hameñ aarzū hai
jise saif-e-burrāñ ḳhudā ne atā kī
shah-e-lā-fatā kī hameñ aarzū hai
kiyā jis ne sajda meñ sar nazr-e-allah
shah-e-karbalā kī hameñ aarzū hai
zah-e-shān-e-mahbūb-e-haq ġhaus-e-āzam
usī auliyā kī hameñ aarzū hai
vo gañj-e-shakar qutub-e-haq fard-e-a.alam
usī chishtiyāñ kī hameñ aarzū hai
jo maḳhdūm sābir haiñ kaliyar ke bāshī
usī dil-kushā kī hameñ aarzū hai
maiñ huuñ mīrāñ shaah pīr-e- chishtī ke qurbāñ
usī peshvā kī hameñ aarzū hai
jamal-e-KHuda ki hamein aarzu hai
wo zat-e-baqa ki hamein aarzu hai
kiya nur apne se nur-e-mohammad
sada mustafa ki hamein aarzu hai
tumhein zahido hur-o-ghilman mubarak
jo kHair-ul-wara ki hamein aarzu hai
tajassus mein hain kHizr-o-ilyas jis ki
usi rahnuma ki hamein aarzu hai
ayan jis ka jalwa hai arz-o-saman mein
usi mah-laqa ki hamein aarzu hai
hain baad az nabi sab ke muKHtar malik
to mushkil-kusha ki hamein aarzu hai
yahan jis ne KHaibar ke dar ko ukhaDa
ali murtaza ki hamein aarzu hai
jise saif-e-burran KHuda ne ata ki
shah-e-la-fata ki hamein aarzu hai
kiya jis ne sajda mein sar nazr-e-allah
shah-e-karbala ki hamein aarzu hai
zah-e-shan-e-mahbub-e-haq ghaus-e-azam
usi auliya ki hamein aarzu hai
wo ganj-e-shakar qutub-e-haq fard-e-alam
usi chishtiyan ki hamein aarzu hai
jo maKHdum sabir hain kaliyar ke bashi
usi dil-kusha ki hamein aarzu hai
main hun miran shah pir-e- chishti ke qurban
usi peshwa ki hamein aarzu hai
- Book : Guldasta-e-meeran Shah (Pg. 23)
- Author : Meeran Shan Jalandhari
- Publication : Hameedia Steam Press Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.