mere dāġh-e-dil wo charāġh haiñ nahīñ nisbateñ jinheñ sham se
mere dāġh-e-dil wo charāġh haiñ nahīñ nisbateñ jinheñ sham se
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
mire dāġh-e-dil vo charāġh haiñ nahīñ nisbateñ jinheñ shaam se
unheñ tū hī aa ke bujhā.egā ye jale haiñ tere hī naam se
maiñ huuñ ek āshiq-e-be-navā tū navāz apne payām se
ye tirī razā pe tirī ḳhushī tū pukār le kisī naam se
maiñ to gum huuñ terī talāsh meñ mujhe kaun jaane tire sivā
koī kaise mahram-e-rāz ho tirī āshiqī ke maqām se
tirā ishq hai mirī zindagī tirā zikr hai mirī bandagī
tujhe yaad kartā huuñ maiñ sadā mujhe kaam hai isī kaam se
kabhī mai-kade pe jo dil rahā tire āshiqoñ kī nazar paḌe
use kahiye bāda-e-ma.arifat jo chhalak paḌe abhī jaam se
kahīñ uTh ke jā.ūñ maiñ kyuuñ 'fanā' ki payām us kā milā mujhe
jo milā kabhī to milegā vo mujhe dard-e-dil ke maqām se
mere dāġh-e-dil wo charāġh haiñ nahīñ nisbateñ jinheñ sham se
unheñ tū hī aa ke bujhāegā ye jale haiñ tere hī nam se
maiñ huñ ek āshiq-e-be-nawā tū nawāz apne payām se
ye tirī razā pe tirī ḳhushī tū pukār le kisī nam se
maiñ to gum huñ terī talāsh meñ mujhe kaun jaane tere siwā
koī kaise mahram-e-rāz ho tirī āshiqī ke maqām se
tirā ishq hai mirī zindagī tirā zikr hai mirī bandagī
tujhe yaad kartā huñ maiñ sadā mujhe kaam hai isī kaam se
kabhī mai-kade pe jo dil rahā tere āshiqoñ kī nazar paḌe
use kahiye bāda-e-marifat jo chhalak paḌe abhī jam se
kahīñ uTh ke jāūñ maiñ kyuñ 'fanā' ki payām us kā milā mujhe
jo milā kabhī to milegā wo mujhe dard-e-dil ke maqām se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.