mere gham ke liye is bazm mein fursat kahan paida
mere gham ke liye is bazm mein fursat kahan paida
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
mire ġham ke liye is bazm meñ fursat kahāñ paidā
yahāñ to ho rahī hai dāstāñ se dāstāñ paidā
mirī ’umreñ simaT aa.ī haiñ un ke ek lamhe meñ
baḌī muddat meñ hotī hai ye ’umr-e-jāvedāñ paidā
ye apnā-apnā maslak hai ye apnī-apnī fitrat hai
jalāo āshiyāñ tum ham kareñge āshiyāñ paidā
tū apnā kārvāñ le chal na kar ġham mere zarroñ kā
jalāo āshiyāñ tum ham kareñge āshiyāñ paidā
zarā tum ne nazar pherī ki jaise kuchh na thā dil meñ
zarā tum muskurā.e ho gayā phir ik jahāñ paidā
tavaqqo' hai ki badlegā zamāna lekin ai 'maikash'
zamān hai yahī to ho chuke insān yaañ paidā
mere gham ke liye is bazm mein fursat kahan paida
yahan to ho rahi hai dastan se dastan paida
meri ’umren simaT aai hain un ke ek lamhe mein
baDi muddat mein hoti hai ye ’umr-e-jawedan paida
ye apna-apna maslak hai ye apni-apni fitrat hai
jalao aashiyan tum hum karenge aashiyan paida
tu apna karwan le chal na kar gham mere zarron ka
jalao aashiyan tum hum karenge aashiyan paida
zara tum ne nazar pheri ki jaise kuchh na tha dil mein
zara tum muskurae ho gaya phir ek jahan paida
tawaqqo' hai ki badlega zamana lekin ai 'maikash'
zaman hai yahi to ho chuke insan yan paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.