mere hosh mein wo Thahre na kabhi phir hosh ke din hi bit gae
mere hosh mein wo Thahre na kabhi phir hosh ke din hi bit gae
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
mire hosh meñ vo Thahre na kabhī phir hosh ke din hī biit ga.e
vo aa.e ga.e to bahut lekin be-rut aa.e be-rīt ga.e
anjān se the ham tum donoñ phir ham tum donoñ ek hue
ab ye bhī nahīñ aur vo bhī nahīñ donoñ hī zamāne biit ga.e
koī aur tarāna ai mutrib ab in gītoñ ko kyā gaanā
vo dhun badlī vo sur badle vo saaz haTe vo giit ga.e
ab milne par kyā pachhtāvā kuchh tum bhī jhuke kuchh ham bhī jhuke
haare to donoñ haar ga.e jiite to donoñ jiit ga.e
duniyā khoī maz.hab chhoḌā kyā ḳhuub mohabbat kī 'maikash'
achchhe the vahī jo is duniyā meñ aa.e aur bin-prīt ga.e
mere hosh mein wo Thahre na kabhi phir hosh ke din hi bit gae
wo aae gae to bahut lekin be-rut aae be-rit gae
anjaan se the hum tum donon phir hum tum donon ek hue
ab ye bhi nahin aur wo bhi nahin donon hi zamane bit gae
koi aur tarana ai mutrib ab in giton ko kya gana
wo dhun badli wo sur badle wo saz haTe wo git gae
ab milne par kya pachhtawa kuchh tum bhi jhuke kuchh hum bhi jhuke
haare to donon haar gae jite to donon jit gae
duniya khoi mazhab chhoDa kya KHub mohabbat ki 'maikash'
achchhe the wahi jo is duniya mein aae aur bin-prit gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.