mere jaan-o-dil mein basa hai wahi
mire jān-o-dil meñ basā hai vahī
jidhar dekhun jalva-numā hai vahī
vahī rāh-rau hai vahī rahnumā
vo muqtadī muqtadā hai vahī
vahī bād-e-sarsar vahī gard-e-rāh
vahī reg-e-mauj-e-sabā hai vahī
vahī manzil-e-ishq meñ mīl-rāh
nishān-e-rah-e-mudda.ā hai vahī
vahī sab se avval usī kā zuhūr
vahī sab kā baanī banā hai vahī
vahī sab kī sūrat vahī sab kī jaañ
vahī sab se vāsil judā hai vahī
vahī sāqī-e-mai vahī mohtasib
vahī riñd hai pārsā hai vahī
har ik jism meñ hai vahī bas ḳhamosh
har āvāz meñ boltā hai vahī
vahī ḳhud maraz hai vahī ḳhud davā
har āzār kī ḳhud shifā hai vahī
kabhī dekhtā thā maiñ nairañg-dahar
nigāhoñ meñ ab phir rahā hai vahī
vahī zāt-e-mutlaq vahī be-nazīr
vahī shakl-e-insāñ ḳhudā hai vahī
mere jaan-o-dil mein basa hai wahi
jidhar dekhun jalwa-numa hai wahi
wahi rah-rau hai wahi rahnuma
wo muqtadi muqtada hai wahi
wahi baad-e-sarsar wahi gard-e-rah
wahi reg-e-mauj-e-saba hai wahi
wahi manzil-e-ishq mein mil-rah
nishan-e-rah-e-muddaa hai wahi
wahi sab se awwal usi ka zuhur
wahi sab ka bani bana hai wahi
wahi sab ki surat wahi sab ki jaan
wahi sab se wasil juda hai wahi
wahi saqi-e-mai wahi mohtasib
wahi rind hai parsa hai wahi
har ek jism mein hai wahi bas KHamosh
har aawaz mein bolta hai wahi
wahi KHud maraz hai wahi KHud dawa
har aazar ki KHud shifa hai wahi
kabhi dekhta tha main nairang-dahar
nigahon mein ab phir raha hai wahi
wahi zat-e-mutlaq wahi be-nazir
wahi shakl-e-insan KHuda hai wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.