mere qasid ko KHuda ke liye ghamnak na kar
mere qasid ko KHuda ke liye ghamnak na kar
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
mire qāsid ko ḳhudā ke liye ġhamnāk na kar
dekh ke ḳhat ko mire garm na ho chaak na kar
elchī se nahīñ hotā hai koī āzurda
nā-ḳhushī us se to ai zālim-e-saffāk na kar
hoñge ushshāq qiyāmat meñ tire dāman-gīr
duur dāman se bahut gardish-e-aflāk na kar
gard ho kab se maiñ lipTā huuñ tire dāman meñ
jhaaḌ dāman ko na barbād mire ḳhaak na kar
jī to āshiq ke chale jaate haiñ hamrāh rikāb
dekh gulgūñ ko bahut tund-o-chālāk na kar
paḌ ga.ī hogī kahīñ riñd ke ghar duḳhtar-e-raz
mohtasib us kī bahut justajū-o-tāk na kar
is qadar us pe na de jaan kahā maan 'turāb'
muñh lagā bahut na us shoḳh ko be-bāk na kar
mere qasid ko KHuda ke liye ghamnak na kar
dekh ke KHat ko mere garm na ho chaak na kar
elchi se nahin hota hai koi aazurda
na-KHushi us se to ai zalim-e-saffak na kar
honge ushshaq qiyamat mein tere daman-gir
dur daman se bahut gardish-e-aflak na kar
gard ho kab se main lipTa hun tere daman mein
jhaD daman ko na barbaad mere KHak na kar
ji to aashiq ke chale jate hain hamrah rikab
dekh gulgun ko bahut tund-o-chaalak na kar
paD gai hogi kahin rind ke ghar duKHtar-e-raz
mohtasib us ki bahut justaju-o-tak na kar
is qadar us pe na de jaan kaha man 'turab'
munh laga bahut na us shoKH ko be-bak na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.