meri maut se itni wahshat hui
mirī maut se itnī vahshat huī
masīhā ko marne kī hasrat huī
use bekalī merī rāhat se thī
maiñ bekal huā us ko rāhat huī
hai sahrā ye vahshat asar ishq kā
bagūloñ ko bhī jis se vahshat huī
vo lāġhar huuñ us ne kiyā imtihāñ
ayaañ ā.īna meñ na sūrat huī
hai phere hue muñh khaḌī hijr meñ
ajal ko bhī mujh se ye nafrat huī
patañge gire sham.a ko dekh kar
ayaañ shān-e-vahdat se kasrat huī
tirī chaal ne fitna barpā kiyā
qayāmat se paidā qayāmat huī
tire ishq kī qaid vo qaid hai
muqarrar na kuchh jis kī muddat huī
huā gul mirī zindagī kā charāġh
numāyāñ jo shām-e-musībat huī
vo majnūñ kī tasvīr par pūchhnā
tirī kis ke ġham meñ ye sūrat huī
gale aa ke mil lījiye iid hai
zamāna huā ek muddat huī
vo vahshat hamārī thī roz-e-junūñ
ki majnūñ ko bhī jis se vahshat huī
badal jaatī hai ab to karvaT nasīm
tirte ġham meñ zaa.il ye tāqat huī
tujhe naza.a meñ dekh kar ai 'salām'
kahe 'arsh' kyā kaisī ibrat huī
meri maut se itni wahshat hui
masiha ko marne ki hasrat hui
use bekali meri rahat se thi
main bekal hua us ko rahat hui
hai sahra ye wahshat asar ishq ka
bagulon ko bhi jis se wahshat hui
wo laghar hun us ne kiya imtihan
ayan aaina mein na surat hui
hai phere hue munh khaDi hijr mein
ajal ko bhi mujh se ye nafrat hui
patange gire shama ko dekh kar
ayan shan-e-wahdat se kasrat hui
teri chaal ne fitna barpa kiya
qayamat se paida qayamat hui
tere ishq ki qaid wo qaid hai
muqarrar na kuchh jis ki muddat hui
hua gul meri zindagi ka charagh
numayan jo sham-e-musibat hui
wo majnun ki taswir par puchhna
teri kis ke gham mein ye surat hui
gale aa ke mil lijiye id hai
zamana hua ek muddat hui
wo wahshat hamari thi roz-e-junun
ki majnun ko bhi jis se wahshat hui
badal jati hai ab to karwaT nasim
tirte gham mein zail ye taqat hui
tujhe naza mein dekh kar ai 'salam'
kahe 'arsh' kya kaisi ibrat hui
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 117)
- Author : Allama Syed Zameeruddeen Ahmad
- Publication : Fine Art Press (1932)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.