meri tasbih ka ek tar TuTa
mirī tasbīh kā ik taar TuuTā
vo kāfir kā to sab zunnār TuuTā
mirā dil ishq ne kyā toḌ Daalā
dil us kā bhī to āḳhir car TuuTā
shikast ab ishq ne donoñ taraf dī
idhar be-dil udhar dildār TuuTā
bhalā ai ishq tere dam-qadam se
hayā-o-sharm-o-nanag-o-ār TuuTā
kahāñ kī shaikHī-o-kaisī buzurgī
mirā sab dā'vā-o-pindār TuuTā
pilā saaqī mujhe ab bhar ke pyāle
ki har jur.a meñ ik inkār TuuTā
ḳhabar pahuñchī na kyuuñ kar mohtasib ko
mirā ḳhum to sar-e-bāzār TuuTā
maiñ TuuTā haath se us but ke aisā
'turāb' aisā na koī dīn-dār TuuTā
meri tasbih ka ek tar TuTa
wo kafir ka to sab zunnar TuTa
mera dil ishq ne kya toD Dala
dil us ka bhi to aaKHir car TuTa
shikast ab ishq ne donon taraf di
idhar be-dil udhar dildar TuTa
bhala ai ishq tere dam-qadam se
haya-o-sharm-o-nanag-o-ar TuTa
kahan ki shaikHi-o-kaisi buzurgi
mera sab da'wa-o-pindar TuTa
pila saqi mujhe ab bhar ke pyale
ki har jura mein ek inkar TuTa
KHabar pahunchi na kyun kar mohtasib ko
mera KHum to sar-e-bazar TuTa
main TuTa hath se us but ke aisa
'turab' aisa na koi din-dar TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.