meri zaban se tera bayan mushkil hai
mirī zabān se terā bayān mushkil hai
hazār kos kī duurī zabān se dil hai
ta.alliyāñ bhī nahīñ lan-tarāniyāñ bhī nahīñ
rivāyateñ bhī nahīñ haiñ kahāniyāñ bhī nahīñ
marī hayāt kā sarmāya haiñ tirī bāteñ
vo 'urf-e-'ām meñ kahlātī haiñ karāmāteñ
bayān kī haiñ bahut kam karāmateñ maiñ ne
chhupā rakhī haiñ hazāroñ qayāmateñ maiñ ne
dil-o-nazar kī amānat dil-o-nazar meñ hai
kahāñ vo kūcha-o-bāzār-o-rahguzar meñ hai
maqām-e-kHās hai ye rahguzar-e-ām nahīñ
vahāñ hai 'ishq-e-jahāñ kuchh kisī se kaam nahīñ
ḳhud apne aap se kahtā huuñ aap kī bāteñ
ḳhud apne nafs pe bhī pesh kyuuñ karāmateñ
sunī hai nafs ne sam'a-e-qabūl se ye baat
ḳhud apne nafs meñ aa.eñ nazar tirī āyāt
yahī tarīqa-e-isbāt-e-har-karāmat hai
jo ye nahīñ to karāmat nahīñ rivāyat hai
meri zaban se tera bayan mushkil hai
hazar kos ki duri zaban se dil hai
talliyan bhi nahin lan-taraniyan bhi nahin
riwayaten bhi nahin hain kahaniyan bhi nahin
mari hayat ka sarmaya hain teri baaten
wo 'urf-e-'am mein kahlati hain karamaten
bayan ki hain bahut kam karamaten main ne
chhupa rakhi hain hazaron qayamaten main ne
dil-o-nazar ki amanat dil-o-nazar mein hai
kahan wo kucha-o-bazar-o-rahguzar mein hai
maqam-e-kHas hai ye rahguzar-e-am nahin
wahan hai 'ishq-e-jahan kuchh kisi se kaam nahin
KHud apne aap se kahta hun aap ki baaten
KHud apne nafs pe bhi pesh kyun karamaten
suni hai nafs ne sam'a-e-qabul se ye baat
KHud apne nafs mein aaen nazar teri aayat
yahi tariqa-e-isbaat-e-har-karamat hai
jo ye nahin to karamat nahin riwayat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.