baiThe hain shaiKH muft ki botal se Dhaal ke
baiThe haiñ shaiḳh muft kī botal se Dhaal ke
ab kuchh nahīñ ḳhayāl harām-o-halāl ke
furqat bhī hogī go haiñ abhī din visāl ke
āġhāz meñ ḳhayāl haiñ ham ko ma.aal ke
vaa.iz bahār meñ na sunegā koī tirā
rahne de mas.ale ye harām-o-halāl ke
ai iztirāb dil hai taḌapne kā lutf jab
pahuñchā de mujh ko baam pe un ke uchhāl ke
fursat ke haath hai mirā aanā ye kyā kahā
va.ade meñ bhī nikalte haiñ pahlū malāl ke
saaqī ne duḳht-e-raz ko chhupāyā bahut magar
āḳhir ko le ga.e use mai-kash nikāl ke
kaisā jalā ke tuur ko surma banā diyā
sho.ale ġhazab the yaar kī barq-e-jamāl ke
dil ke sivā bhalā hai mire paas aur kyā
ḳhvāhāñ huzūr bhī haiñ ġharīboñ ke maal ke
siina ubhār kar ye gayā sāmne se kaun
pahlū se kaun le gayā dil ko nikāl ke
baiThe hain shaiKH muft ki botal se Dhaal ke
ab kuchh nahin KHayal haram-o-halal ke
furqat bhi hogi go hain abhi din visal ke
aaghaz mein KHayal hain hum ko maal ke
waiz bahaar mein na sunega koi tera
rahne de masale ye haram-o-halal ke
ai iztirab dil hai taDapne ka lutf jab
pahuncha de mujh ko baam pe un ke uchhaal ke
fursat ke hath hai mera aana ye kya kaha
wade mein bhi nikalte hain pahlu malal ke
saqi ne duKHt-e-raz ko chhupaya bahut magar
aaKHir ko le gae use mai-kash nikal ke
kaisa jala ke tur ko surma bana diya
shoale ghazab the yar ki barq-e-jamal ke
dil ke siwa bhala hai mere pas aur kya
KHwahan huzur bhi hain gharibon ke mal ke
sina ubhaar kar ye gaya samne se kaun
pahlu se kaun le gaya dil ko nikal ke
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 233)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.