kisi but ko dil mein chhupane se hasil
kisi but ko dil mein chhupane se hasil
Mirza Fida Ali Shah Manan
MORE BYMirza Fida Ali Shah Manan
kisī but ko dil meñ chhupāne se hāsil
sanam-ḳhāna ka.aba banāne se hāsil
sunā kar vo mujh ko raqīboñ se bole
ki ġhairoñ kī mahfil meñ jaane se hāsil
vo zālim hai be-dard saffāk-qātil
use dard dil kā sunāne se hāsil
na pahuñche jo ye tiir bāb-e-asar tak
to dast-e-duā phir uThāne se hāsil
na barbād kar ziist hai chand roza
abas bār-e-ulfat uThāne se hāsil
jo aajiz ho ḳhud jaan se apnī ai jaañ
batāo use kyā satāne se hāsil
jo dekhā hai qāsid vahāñ jā ke kahnā
ye thā haal tujhko dikhāne se hāsil
ḳhudā bhī usī kī taraf hogā be-shak
qayāmat meñ kyā hogā jaane se hāsil
hoñ ab aur do ik shahīd-e-mohabbat
ye hai us kā mehñdī lagāne se hāsil
shikār-e-ajal ho gayā dam meñ qārūñ
use kab huā kuchh ḳhazāne se hāsil
ye zulm-o-jafā-o-sitam kis liye hai
jalāne satāne rulāne se hāsil
na ai dil kabhī ishq karnā butoñ se
musībat meñ dil ko phañsāne se hāsil
na aa.egā rahm be-dard hai vo
nahīñ dard-e-dil kuchh sunāne se hāsil
na shāna hilāo ki sotā hai 'mannan'
lahad meñ use kyā satāne hāsil
kisi but ko dil mein chhupane se hasil
sanam-KHana kaba banane se hasil
suna kar wo mujh ko raqibon se bole
ki ghairon ki mahfil mein jaane se hasil
wo zalim hai be-dard saffak-qatil
use dard dil ka sunane se hasil
na pahunche jo ye tir bab-e-asar tak
to dast-e-dua phir uThane se hasil
na barbaad kar zist hai chand roza
abas bar-e-ulfat uThane se hasil
jo aajiz ho KHud jaan se apni ai jaan
batao use kya satane se hasil
jo dekha hai qasid wahan ja ke kahna
ye tha haal tujhko dikhane se hasil
KHuda bhi usi ki taraf hoga be-shak
qayamat mein kya hoga jaane se hasil
hon ab aur do ek shahid-e-mohabbat
ye hai us ka mehndi lagane se hasil
shikar-e-ajal ho gaya dam mein qarun
use kab hua kuchh KHazane se hasil
ye zulm-o-jafa-o-sitam kis liye hai
jalane satane rulane se hasil
na ai dil kabhi ishq karna buton se
musibat mein dil ko phansane se hasil
na aaega rahm be-dard hai wo
nahin dard-e-dil kuchh sunane se hasil
na shana hilao ki sota hai 'mannan'
lahad mein use kya satane hasil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.