kaun sa wo sar hai jis mein zulf ka sauda nahin
kaun sa wo sar hai jis mein zulf ka sauda nahin
Mirza Fida Ali Shah Manan
MORE BYMirza Fida Ali Shah Manan
kaun sā vo sar hai jis meñ zulf kā saudā nahīñ
kaun sī vo bazm hai jis meñ tirā charchā nahīñ
aur kuchh armān dil meñ jān-e-jāñ uThtā nahīñ
ek hasrat vasl kī hai aap se parvā nahīñ
vaqt-e-āḳhir dekh kar vo mujh ko farmāne lage
mehmāñ kuchh der kā hai us kā haal achchhā nahīñ
vaqt-e-ārā.ish jo kī ā.īna par us ne nazar
husn ḳhud kahne lagā is se hasīñ dekhā nahīñ
chashm-e-nargis ban ga.ī hai ishtiyāq-e-dīd meñ
kaun kahtā hai ki gulshan meñ tirā charchā nahīñ
ho gayā qurbān ik āshiq chalo fursat huī
is qadar kyuuñ muztarib ho kyā koī martā nahīñ
haaye vo jhuñjhlā ke kahnā vasl kī shab yaar kā
chheḌnā is tarah ham ko dekhiye achchhā nahīñ
aaj kyā jaatī huī duniyā nazar aa.ī tumheñ
yuuñ to varna pyaar se mujh ko kabhī pūchhā nahīñ
kis tarah āḳhir taḌap kar rah gayā armān-e-vasl
o dil-e-āfat-zada tuune bhī kuchh dekhā nahīñ
vahm hai shak hai gumāñ hai baal se bārīk hai
is se behtar aur mazmūn-e-kamar miltā nahīñ
hai ġhanīmat aap kā dīdār hī hotā rahe
yuuñ to mere dil meñ ai jān-e-jahāñ kyā-kyā nahīñ
ek bosa vasl kī shab de ke bole naaz se
mere hī sar kī qasam ab aur kuchh kahnā nahīñ
ḳhānumāñ barbād dil yaad aa gayā yādash ba-ḳhair
ik zamāna ho gayā jab se use dekhā nahīñ
vasl kī shab tevrī badle hue baiThe haiñ vo
o dil-e-rāhat-talab is vaqt maiñ Dartā nahīñ
āfrīñ sad āfrīñ aur be-muravvat be-vafā
naza.a ke a.alam meñ bhī tū dekhne aayā nahīñ
chatr-e-shāhī kuchh nahīñ zill-e-humā bhī kuchh nahīñ
sāya-e-dīvār se behtar koī saaya nahīñ
ho ga.e behosh muusā bas yahī thā shauq-e-dīd
ik nazar bhar ke bhī jalva yaar kā dekhā nahīñ
tū vo yūsuf hai ki yūsuf ko bhī hai armān-e-dīd
misr ke bāzār meñ koī hasīñ tujh sā nahīñ
zulf ke phande meñ āḳhir ḳhud-baḳhud jā kar phañsā
laakh samjhāyā dil-e-be-tāb ne maanā nahīñ
kūcha-e-qātil meñ jā kar haath se rakkheñ tujhe
o dil-e-betāb hamne isliye paalā nahīñ
ye tumhāre husn roz-afzūñ kī hai a.alam meñ dhuum
husn-e-yūsuf kā koī ab naam tak letā nahīñ
rahm aa.egā kabhī to tum ko mere haal par
ḳhud samajh jāoge ik din maiñ to kuchh kahtā nahīñ
bazm meñ duzdīda nazreñ hamne Dālīñ yaar par
dekhne kī tarah jī bhar ke unheñ dekhā nahīñ
is tarah hai hasrat-e-dīdār-e-jānāñ aaj kal
dīda-e-mushtāq ne goyā kabhī dekhā nahīñ
aish-o-ishrat vasl-o-rāhat sab ḳhushī meñ haiñ sharīk
be-kasī meñ aah koī pūchhne vaalā nahīñ
kyuuñ gul-e-āriz pe tum ne zulf bikhrā.ī nahīñ
chashma-e-ḳhurshīd meñ kyuuñ saañp lahrāyā nahīñ
bazm meñ zaanū dabā.e yaar kā baiThe haiñ ġhair
al-madad ai zabt ye hamne kabhī dekhā nahīñ
kuchh dinoñ hasrat rahī armān kuchh din rah gayā
ḳhāna-e-dil ko bhī ḳhālī aaj tak paaya nahīñ
us kī be-tābī se shohrat hai tumhāre husn kī
ye vahī 'mannan' hai jis ko tum ne pahchānā nahīñ
kaun sa wo sar hai jis mein zulf ka sauda nahin
kaun si wo bazm hai jis mein tera charcha nahin
aur kuchh arman dil mein jaan-e-jaan uThta nahin
ek hasrat wasl ki hai aap se parwa nahin
waqt-e-aKHir dekh kar wo mujh ko farmane lage
mehman kuchh der ka hai us ka haal achchha nahin
waqt-e-araish jo ki aaina par us ne nazar
husn KHud kahne laga is se hasin dekha nahin
chashm-e-nargis ban gai hai ishtiyaq-e-did mein
kaun kahta hai ki gulshan mein tera charcha nahin
ho gaya qurban ek aashiq chalo fursat hui
is qadar kyun muztarib ho kya koi marta nahin
haye wo jhunjhla ke kahna wasl ki shab yar ka
chheDna is tarah hum ko dekhiye achchha nahin
aaj kya jati hui duniya nazar aai tumhein
yun to warna pyar se mujh ko kabhi puchha nahin
kis tarah aaKHir taDap kar rah gaya arman-e-wasl
o dil-e-afat-zada tune bhi kuchh dekha nahin
wahm hai shak hai guman hai baal se barik hai
is se behtar aur mazmun-e-kamar milta nahin
hai ghanimat aap ka didar hi hota rahe
yun to mere dil mein ai jaan-e-jahan kya-kya nahin
ek bosa wasl ki shab de ke bole naz se
mere hi sar ki qasam ab aur kuchh kahna nahin
KHanuman barbaad dil yaad aa gaya yaadash ba-KHair
ek zamana ho gaya jab se use dekha nahin
wasl ki shab tewri badle hue baiThe hain wo
o dil-e-rahat-talab is waqt main Darta nahin
aafrin sad aafrin aur be-murawwat be-wafa
naza ke aalam mein bhi tu dekhne aaya nahin
chatr-e-shahi kuchh nahin zill-e-huma bhi kuchh nahin
saya-e-diwar se behtar koi saya nahin
ho gae behosh musa bas yahi tha shauq-e-did
ek nazar bhar ke bhi jalwa yar ka dekha nahin
tu wo yusuf hai ki yusuf ko bhi hai arman-e-did
misr ke bazar mein koi hasin tujh sa nahin
zulf ke phande mein aaKHir KHud-baKHud ja kar phansa
lakh samjhaya dil-e-be-tab ne mana nahin
kucha-e-qatil mein ja kar hath se rakkhen tujhe
o dil-e-betab hamne isliye pala nahin
ye tumhaare husn roz-afzun ki hai aalam mein dhum
husn-e-yusuf ka koi ab nam tak leta nahin
rahm aaega kabhi to tum ko mere haal par
KHud samajh jaoge ek din main to kuchh kahta nahin
bazm mein duzdida nazren hamne Dalin yar par
dekhne ki tarah ji bhar ke unhen dekha nahin
is tarah hai hasrat-e-didar-e-jaanan aaj kal
dida-e-mushtaq ne goya kabhi dekha nahin
aish-o-ishrat wasl-o-rahat sab KHushi mein hain sharik
be-kasi mein aah koi puchhne wala nahin
kyun gul-e-ariz pe tum ne zulf bikhrai nahīñ
chashma-e-KHurshid mein kyun sanp lahraya nahin
bazm mein zanu dabae yar ka baiThe hain ghair
al-madad ai zabt ye hamne kabhi dekha nahin
kuchh dinon hasrat rahi arman kuchh din rah gaya
KHana-e-dil ko bhi KHali aaj tak paya nahin
us ki be-tabi se shohrat hai tumhaare husn ki
ye wahi 'mannan' hai jis ko tum ne pahchana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.