chashm-e-nam yun kucha-e-jaanan mein hum har dam rahe
chashm-e-nam yun kucha-e-jaanan mein hum har dam rahe
Mirza Fida Ali Shah Manan
MORE BYMirza Fida Ali Shah Manan
chashm-e-nam yuuñ kūcha-e-jānāñ meñ ham har dam rahe
jis tarah bāġh-e-jahāñ meñ qatra-e-shabnam rahe
rote-rote hijr meñ kyā jaane kyā yaad aa gayā
kuchh mizha par qatrahā-e-ashk aakar tham rahe
ḳhūn-e-nāhaq kī shahādat ke liye kaafī hai ye
dāman-e-qātil pe jo dhabbe lahū ke jam rahe
sāmne mere hī vo jaate haiñ bazm-e-ġhair meñ
al-madad ai zabt mujh ko kab tak us kā ġham rahe
aaj is andāz se vo aa.e qatl-e-ām ko
tevrī badlī rahī rūThe rahe barham rahe
hashr ke din imtihāñ pesh-e-ḳhudā donoñ kā hai
lutf hai unkī jafā merī vafā se kam rahe
chashm-e-nam yun kucha-e-jaanan mein hum har dam rahe
jis tarah bagh-e-jahan mein qatra-e-shabnam rahe
rote-rote hijr mein kya jaane kya yaad aa gaya
kuchh mizha par qatraha-e-ashk aakar tham rahe
KHun-e-nahaq ki shahadat ke liye kafi hai ye
daman-e-qatil pe jo dhabbe lahu ke jam rahe
samne mere hi wo jate hain bazm-e-ghair mein
al-madad ai zabt mujh ko kab tak us ka gham rahe
aaj is andaz se wo aae qatl-e-am ko
tewri badli rahi ruThe rahe barham rahe
hashr ke din imtihan pesh-e-KHuda donon ka hai
lutf hai unki jafa meri wafa se kam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.